code hindi Career blogs Courses info Digital Marketing Information technology About

Best computer courses after B.Com/ BA

Best computer courses after B.Com/ BA

Doston kuch B.Com/BA students ki ruchi jo hai wo computers mein kaafi hoti hai. Dekhiye jab hum apna 10th karte hai tab hume alag alag fields ke baare mein utni jaankari nahi hoti hai. Duniya mein itne saare skills hai lekin 10th ke kitne students ko ye pata hai. Sirf kuch hi career ya skills ke baare mein jaante hai students us waqt. To aise hi kaafi students stream choose karte hai 10th ke baad. Arts, Commerce ya Science. Kaafi Arts ya Commerce students ko lagta hai bhai ab commerce le liye to ab hum isme jo subjects seekh rahe hai bas usi se related cheezon mein career bana payenge. Dekhiye aisa nahi hai. Kaafi BA/B.Com students ko Computer mein ruchi hoti hai lekin unka pata nahi hota ki kaise seekhein aur kaise career banaye un skills ko lekar. Lekin ghabraiye mat is site par hum aapke liye alag alag tarah ke blogs laate hai taaki aap un skills ko explore kar payeng.

Aaj is blog aur video mein hum aapko bataayenge kuch best computer courses jo B.Com/BA students bhi kar sakte hai. Waise B.Sc students to kaafi universities mein in courses ke saath saath M.Sc Computer Science ya M.Sc IT ke liye eligible hote hi hai.

  • 1. MCA - Master of Computer Application
    Dekhiye MCA jo hao wo ek professional degree course hai computer science mein. Isme aapko theoretical aur practical knowledge dono milti hai. Agar aap 3 saal laga sakte hai to yeh course accha rahega. Isme aapko IT related skills ke baare mein kaafi indepth knowledge mil sakti hai. Lekin aapko man lagakar seekhna padega. Agar man lagaakar practice bahut zyaada kar sakte ho to hi yeh course karo. Mehnat to bahut lagegi isme. 3 saal ka jo course hai. MCA ki eligibility hai kisi bhi stream se graduation aur 12th ya phir graduation ke kisi bhi ek year mein Maths as one of the subjects
  • 2. PGDCA
    Ye normally 1 ya 2 saal ke courses hote hai jo kaafi universities aur institutes offer karte hai. Iska curicculum waise institute to institute thoda alag ho sakta hai lekin normally isme aapko programming languages like Java, C++ and packages like Tally, Oracle-VB, web designing, system analysis, data processing, Ms-Dos and Windows OS etc. jaise topics hote hai.
  • 3. PGDIT
    Ye normally 1 year ka IT course hai jisme management of technology sikhayi jaati hai. Isme normally Software Quality Management, Data Warehousing and Data Mining, Business Applications and ERP, Business Requirement Analysis, Project Management (IT) jaise topics sikhaye jaate hai.
  • 4. Post Graduate Diploma (PGD) in Digital Marketing
    Aap agar digital marketing mein interested hai to kisi reputed institute se PG Diploma in Digital Marketing kar sakte hai. Isme aap online marketing se related kaafi cheezein seekh payenge.
  • 5. Doston kuch universities mein M.Sc IT ke liye bhi B.Com/ BA ke students eligble ho sakte hai. Halaki aise kaafi kum hi institutes hai jahan par wo eligble ho sakte hai.
  • 6. Agar aap ye traditional courses nahi kar sakte hai kisi kaaran se ya nahi karna chahte hai to aap kisi acche institute se dusre short term computer courses kar sakte ho. Lekin dekhiye in short term courses mein aapko seekhna padega aache se tabhi hi iska aapko use ho payega jaise kisi job mein ya freelancing karne mein bhi.
    Ye short term courses ho sakte hai jaise accounting software tally wagehra mein, Web designing ka short term course kar sakte hai, web programming ka short course kar sakte hai jisme HTML, CSS, JavaScript aur JavaScript se related frameworks aapko sikhaye jaa sakte hai jaise Angular, React wagehra. Backend development seekhna chahte hai to C, C++, JAVA, PYTHON jaise languages ka koi short term course karke seekh sakte hai.

Waise programming ki baat karen to kaafi prograaming languages aur databases ke baare mein aapko MCA ya PGDCA mein kuch hadh tak sikhate hai. Unke curriculum mein hota hai wah. Lekin Programming languages seekh kar use kaafi practice bhi karni padegi. Difficult lagega shuruwaat mein lekin practice karte karte aap seekh sakenge.

Aap database se related koi recognized certification kar sakte ho jaise oracle certification.

Aap VFX and Animation ka koi short term course kar sakte hai.

Aap Software testing se related short term diploma course kar sakte hai.

Hardware and Networking ka short term course kar sakte hai. CCNA ka certification bhi kar sakte hai jo ki Networking and Hardware se related hai.

Doston agar aapko lagta hai ki maine koi course miss kar diya to niche comments mein mujhe bataiye, aane wale videos mein unke baare mein bataunga.

To doston ye thi jankari kuch computers se related courses ke baare mein B.Com/BA ke baad. Doston aapko ye courses karte samay bahut practice karni chahiye taaki aap in skills ko acchi tarah se seekh pao.

BBA Course details in Hindi

B.Com kare ya BBA